Ek Machhar Lyrics English Translation

Ek Machhar Lyrics English Translation: This Hindi song from the Bollywood movie Yeshwant is voiced by Nana Patekar. The music is composed by Anand-Milind whereas Sameer wrote Ek Machhar Lyrics.

The music video of the track features the Nana Patekar. Zee Music Company released the song under their banner.

Singer:                 Nana Patekar
Movie:                 Yeshwant
Lyrics:                  Sameer
Composer:          Anand-Milind
Label:                  Zee Music Company
Starting:               Nana Patekar

Ek Machhar Lyrics English Translation

Ek Machhar Lyrics

Ek machhar
Ek machhar sala aadmi ko hijda bana deta hai
Ek khatmal poori raat ko apahij kar deta hai
Sala ek machhar aadmi ko hijda bana deta hai
Mat aao mere paas
Rehne do mujhe akela
Ladne do mujhe apni ladai
Kabhi na kabhi toh jhoot ka gala ghotegi sachai
Lekin sala ek machhar aadmi ko hijda bana deta hai
Subah ghar se niklo bheed ka ek hissa bano
Shaam ko ghar jao, daru peeyo, bache paida karo
Aur subah talak phir ek baar mar jao
Kyun ki aatma aur andar ka insaan mar chuka hai
Jeene ke ghinaune samjhaute kar chuka hai
Sala ek machhar aadmi ko hijda bana deta hai
Oonchi dukaan feeka pakwan
Khaddar ki langoti, chandi ka pikdaan
Sau mein se assi beimaan
Phir bhi mera desh mahaan
Topi lagaye machhar kehta hai
Desh ke logon mein samta ki bhavna aa rahi hai
Issi liye toh badi machli choti ko kha rahi hai
Hamare chune huye kutte hum mein hi katte hai
Hamare hisse ki botiyan aapas mein batte hai
Amanush gand se bhari inki aawaaz se nange raaste kaanpte hai
Kal paida huye bache, ek saans lete huye hapte hai
Shaitaano ki najayaz aulad tehalka macha rahi hai
Aur hum, hum bhagwan ke chahite janwar insaan
Zindagi ko gaali banaye baithe hai
Kya kare, sala
Sala ek machhar aadmi ko hijda bana deta hai
Giro saalo giro, giro, giro
Lekin giro toh us jharne ki tarah
Joh parbat ki oonchai se girke bhi
Apni sundarta khone nahi deta
Zameen ki teh se milke bhi
Apni astitva ko nasht nahi hone deta
Lekin itna sochne ke liye waqt hai kiske paas
Kyun ki sala ek machhar aadmi ko hijda bana deta hai
Mandir, masjid ki ladai mein mar gaye lakhon insaan
Dharam aur mazhab ke naam pe ho gaye hazaron qurbaan
Jisne anyay ke virodh mein Baali ko mara
Ravan ko maut ke ghaat utara
Punya ko paap se ubhara
Mujhe us Ram ki talaash hai
Magar lagta hai is yug ke Ram ko ajeevan vanvas hai
Kya kare
Kyun ki sala ek machhar aadmi ko hijda bana deta hai
Yeh machhar
Yeh machhar jiska keechadon mein ghar hai
Naaliyo mein basera hai
Iski pehchaan yeh hai ki
Yeh na tera hai, na mera hai
Yeh machhar hijda bana dega, hijda bana dega
Kabhi shaitaan aayenge
Mere darwaze par dastak denge
Mere zehan ki talashi lenge
Phir jal uthenge
Us waqt main daroonga nahi
Apne shareer ko dhaal aur haath ko talwar banaonga
Ek na ek din toh tum mera haath choomoge
Karo, aaj mujhe badnaam karo nilaam karo
Nilaami ke liye kya hai mere paas
Bas jalte huye aansuon ka ehsaas, maana
Magar main tumse badla loonga
Tumhari aakhri boli par
Mere do saanson ke beech ka thehrao
Tumhe fokat mein doonga
Kyun ki sala ek machhar ne tumhe hijda bana diya hai

Ek Machhar Lyrics English Translation Meaning

Ek machhar
One mosquito
Ek machhar sala aadmi ko hijda bana deta hai
One mosquito can turn a man into a eunuch
Ek khatmal poori raat ko apahij kar deta hai
One bed bug can handicap the whole night
Sala ek machhar aadmi ko hijda bana deta hai
One mosquito can turn a man into a eunuch
Mat aao mere paas
Don’t come near me
Rehne do mujhe akela
Let me be alone
Ladne do mujhe apni ladai
Let me fight my own war
Kabhi na kabhi toh jhoot ka gala ghotegi sachai
Someday truth will squeeze the neck of lies
Lekin sala ek machhar aadmi ko hijda bana deta hai
But still, one mosquito can turn a man into a eunuch
Subah ghar se niklo bheed ka ek hissa bano
Leave your house in the morning to be a part of the crowd
Shaam ko ghar jao, daru peeyo, bache paida karo
In the evening go home, drink alcohol and make babies
Aur subah talak phir ek baar mar jao
And then die once again till the morning
Kyun ki aatma aur andar ka insaan mar chuka hai
Since the soul and the human inside is dead
Jeene ke ghinaune samjhaute kar chuka hai
One has made dirty compromises to live
Sala ek machhar aadmi ko hijda bana deta hai
One mosquito can turn a man into a eunuch
Oonchi dukaan feeka pakwan
The shops are big, but the goods are bad
Khaddar ki langoti, chandi ka pikdaan
We have a cotton loincloth but a silverware to spit into
Sau mein se assi beimaan
Out of 100, 80 are cheaters
Phir bhi mera desh mahaan
But still my country is great
Topi lagaye machhar kehta hai
Wearing a hat the mosquito says that
Desh ke logon mein samta ki bhavna aa rahi hai
People of this country now believe in equality
Issi liye toh badi machli choti ko kha rahi hai
That’s why the big fish is eating the small fish
Hamare chune huye kutte hum mein hi katte hai
Our own dogs are biting us
Hamare hisse ki botiyan aapas mein batte hai
They are distributing our bones amongst themselves
Amanush gand se bhari inki aawaaz se nange raaste kaanpte hai
The naked roads are shivering from their dirty inhuman voice
Kal paida huye bache, ek saans lete huye hapte hai
Babies born yesterday can barely breath
Shaitaano ki najayaz aulad tehalka macha rahi hai
The illegitimate children of devils are creating a havoc
Aur hum, hum bhagwan ke chahite janwar insaan
And we the animal like beloved humans of God
Zindagi ko gaali banaye baithe hai
Have made life into a curse
Kya kare, sala
What to do
Sala ek machhar aadmi ko hijda bana deta hai
One mosquito can turn a man into a eunuch
Giro saalo giro, giro, giro
Fall as much as you want
Lekin giro toh us jharne ki tarah
But if you fall, then fall like a waterfall
Joh parbat ki oonchai se girke bhi
Which even after falling from a tall mountain
Apni sundarta khone nahi deta
Doesn’t lose its beauty
Zameen ki teh se milke bhi
Even after touching the ground
Apni astitva ko nasht nahi hone deta
It doesn’t let its identity be crushed
Lekin itna sochne ke liye waqt hai kiske paas
But who has the time to think all this
Kyun ki sala ek machhar aadmi ko hijda bana deta hai
Because one mosquito can turn a man into a eunuch
Mandir, masjid ki ladai mein mar gaye lakhon insaan
Many people have died in the fight of temples and mosques
Dharam aur mazhab ke naam pe ho gaye hazaron qurbaan
Many people have died in the name of religion and faith
Jisne anyay ke virodh mein Baali ko mara
The one who killed Baali against injustice
Ravan ko maut ke ghaat utara
The one who killed Ravana
Punya ko paap se ubhara
The one who made virtue bigger than sin
Mujhe us Ram ki talaash hai
I’m looking for that Lord Rama
Magar lagta hai is yug ke Ram ko ajeevan vanvas hai
But it looks like Lord Rama of this age is in exile forever
Kya kare
What to do
Kyun ki sala ek machhar aadmi ko hijda bana deta hai
Because one mosquito can turn a man into a eunuch
Yeh machhar
This mosquito
Yeh machhar jiska keechadon mein ghar hai
This mosquito has a house in the mud
Naaliyo mein basera hai
He lives in the gutters
Iski pehchaan yeh hai ki
His identity is that
Yeh na tera hai, na mera hai
He’s neither yours nor mine
Yeh machhar hijda bana dega, hijda bana dega
This mosquito will turn you into a eunuch
Kabhi shaitaan aayenge
Sometimes the devils will come
Mere darwaze par dastak denge
And they will knock on my door
Mere zehan ki talashi lenge
They will search my mind
Phir jal uthenge
Then they’ll burn
Us waqt main daroonga nahi
In that moment I won’t be scared
Apne shareer ko dhaal aur haath ko talwar banaonga
I’ll make my body into a shield and my hand into a sword
Ek na ek din toh tum mera haath choomoge
One day or the other you’ll kiss my hand
Karo, aaj mujhe badnaam karo nilaam karo
Defame and auction me off today
Nilaami ke liye kya hai mere paas
I have nothing with me for auctioning
Bas jalte huye aansuon ka ehsaas, maana
I only have the emotions of burning tears
Magar main tumse badla loonga
But I’ll take my revenge from you
Tumhari aakhri boli par
On your final bid
Mere do saanson ke beech ka thehrao
The pause between two of my heartbeats
Tumhe fokat mein doonga
I’ll give you that for free
Kyun ki sala ek machhar ne tumhe hijda bana diya hai
Because one mosquito has turned you into a eunuch

Leave a Comment